Skip navigation

Monthly Archives: August 2007

tera dard tha, teri yaad thi
mai jaha raha, mai jidhar gya

mera din to youn’hi guzar gya
junhi shaam hoi mai bikhar gya

is abar ka meray yaar say
bara milta julta mzaaj hai

kabi toot kar baras gya
kabi bayrukhi mai guzar gya

jab mai chor dounga wo gali
usay yaad aaye gi tab meri

khojay gi wo tab mujhay
usay khabar milay gi mai mar gya

abhi tung hai wo meray naam say
meray baad aaye gi wo dosto

wo tumhi ko rok kay poochay gi
wo kahan pay hai … wo kidhar gya

kitabou mai rakh kr sula gya hum ko
aankh bund ki aur bhula gya hum ko

koi ajeeb musawwar tha jo barishou kay mausam main
kachi deewar pr bana gya hum ko

teray farak kay lamhay shumaar kartay hoye
bikhar gaye tera intezar kartay hoye

mai bhi khush houn, ja kar koi kah day us say
agar wo khush hai, mujhay baiqraar kartay hoye

mai muskrata hoa aainay mai ubhroun ga
wo ro paray gi achanak singhar kartay hoye

tumhain khabar hi nahi koi toot gya
muhabbatou ko pai’daar kartay hoye

wo kah rahi thi samander nahi aankhain
mai ab doob gya, *NAVEED* aitbaar kartay hoye

kaho ab kya kahou tum say
btao kya kahoun tum say …

 

mujhay, tamheed do koi
mujhay, umeed do koi …

 

naya ik lafz do koi, jahaz baat chal niklay
meri mushkil ka hul niklay

 

btao lehja kaisa ho, k tum say baat karni hai
mujhay thora ujala do, basar ik raat karni hai

 

tum apni roshan aankhou ko
agar kholo to mai likhou

kaho ab kya irada hai
mujhay izhar krna hai ..

 

k betabi zyada hai
kaho … ab … kya … kahoun … tum … say … !!!